Riyahd. Wizarat mehnat o samaji behbood abadi ke tarjuman Khalid abba Alkhalil ney kaha hai ke mumlikat mein Saudization ke nifaz mein kisi qisam ki narmi nahi Barti jaye gi. 18 March se rent a car companiyon mein tafteesh ka aaghaz kar diya jaye ga. Arabi TV channel ko interview dete hue abba Alkhalil ney mazeed kaha ke wizarat mehnat mumlikat mein Saudization ke hawalay se mukammal tor par sanjeeda hai.
Aindah baras 01st Mehram 1440 se marhala waar deegar 12 shobo mein bhi Saudization par amal daraamad shuru kardiya jaayegaa. Aindah baras se bachon aur barron ki ready made garmints, motercycle aur Car ke Showrooms, gharelo aur office furniture, kitcehn ka samaan farokht karne wali dukanon mein Saudization ki dead line 01 Mehram 1440 hai. Dosray marhalay mein jis ka aaghaz Rabi al-awwal 1440 se ho ga un mein electronic samaan farokht karne wali dukanain, Ghariyaan, chashmo ki dukanain, Shaamil hain. 03rd marhala saal hijri ke 5 way maah se ho ga jin mein medical samaan farokht karne walay Showrooms, tamirati samaan ki dukanain, gariyon ke aspiyr parts, Carpits aur Sweet farokht karne wali dukanain shaamil hain jin mein kaam karne walay tamam karkun, Supervisors aur Accountent Saudi hunge.
Tarjuman wizarat mehnat Khalid abba alkhalil ney mazeed kaha ke wizarat mehnat ki janib se ab taq muqarara ahdaaf kamyabi se haasil kiye gaye hain aindah bhi un shobo mein jin ka elaan kya ja chuka hai Saudization krwane ke liye wizarat mehnat kisi qisam ki riayat nahi bartay gi. Wizarat ki janib se muqarrar kardah Saudization par amal nahi karne walon par jrmane add kiye jayen ge. Fe ghair mulki karkun 20 hazaar riyal jurmana ho ga jabkay mamnooa payshay par kaam karne walay ghair mulki ko mulk badar bhi kya jaye ga. Abba alkhalil ney mazeed kaha ke wizarat ki team mumlikat ke mukhtalif shehron ki marketow mein tafteeshi karwaiya karti rehti hain taakay Saudization ke amal ko yakeeni banaya jasakay.
Jis mamnooa shobay mein ghair Mulkiyo ko mutayyan kya jaye ga un par jrmane har karkun ke hisaab se add kiye jayen ge. Dosri baar isi khilaaf warzi ke murtakib honay walon par add jrmane double kar diye jayen ge. Abbad Alkhalil ka kehna tha ke mumlikat mein ziyada se ziyada saudion ko rozgaar ke mawaqay faraham karne ke liye koshan hain jis ke liye niji shobay ko chahiye ke woh wizarat ke sath taawun karte hue Saudization ke amal ko yakeeni banayen.
0 comments: