Digital Currency, We had warned from first day that it should not be give and take: Saudi Monetary Agency
Jaddah ( Muahmmad Akram Asad ) Saudi Monetary authority "SAMA" key Deputy governor Hashim bin Usmaan Alhakil nay kaha hai ke digital currency ke barey mein humnay roz awwal se hi khabardaar kiya tha ke is ka lain deen nahi kiya jaye. Digital currency ke barey mein SAMA ke muaqqaf mein ab bhi koi tabdeeli nahi ayi.Deputy governor naay digital currency ke hawalay se muqami akhbar ke numainday se guftagu karte hue mazeed kaha ka "SAMA" ney is hawalay se pehlay bhi logon ko kaha tha ke digital currency jin mein sab se ziyada maqbool honay wali ” Bit Coin“ bhi shaamil hai se ijtinab brtin jis ki koi thos haqeeqat nahi. Alhakil nay mazeed kaha ke digital currency ki koi haqeeqat nahi aur na hi usay kisi mulk ki sarparasti hasil hai is liye jo cheez makhfi ho aur jis ka koi thos wajood na ho is se kis terhan tijarat ki ja sakti hai. Saudi Monetary Authority nay roz awwal se hi sarfeen ke astfsarat par kaha tha ke is qisam ki currency ki tijarat khatraat se khaali nahi jisay koi mulk tasleem nahi karta.
Also Read: Saudi Arabia has become the best country for foreign investors, American investor
Wazeh rahay Bit coin aur isi qisam ki deegar currency jin ka haqeeqat mein koi wujood nahi kuch arsa se ghair mamooli maqboliat haasil kar chuki the. Is zamn mein jin logon nay is se faida haasil kya ab inhen shadeed khasaray ka saamna bhi karna par rha hai.
0 comments: