Saturday 10 March 2018

'Foreigners are too high in this sector' now from which area did the Saudi government prepare to out foreigners?


Jeddah ( monitoring desk ) Saudi arab mein bohat se shobay aisay hain jin se ghair mulkion ko mukammal tor par nikaal diya gaya hai aur baqi reh janay walay shobo mein yeh silsila jari hai. Usay mehez ittafaq hi kaha ja sakta hai ke accounting ke shobay mein ghair mulkion ki bohat barri tadaad honay ke bawajood ab taq kisi ki tavajja is shobay ki janib nahi gayi thi, magar bil akhir ab is shobay ki baari bhi aa gayi hai.


Saudi authority of charterd accounting ( A C A ) ke secretary general Ahmed Al Mighmas ka kehna hai ke mumlikat mein kal 1 laakh 67 hazaar ghair mulki accounted hain jabkay is ke bar aks is shobay mein Saudi shehrion ki tadaad sirf 4800 hai. Jeddah chimbr of commerce and industry ki aik taqreeb mein mangal ke roz khitaab karte hue unhon ny inkishaaf kya ke is silsilay mein wizarat mehnat o samaji taraqqi se rabita kya gaya hai taakay is shobay ko bhi Saudi shehrion ke hawalay karne ke liye iqdamaat kiye ja sakain.

Wazeh rahay ke accounting ka shumaar un shobo mein hota hai jo ghair mulkion ke liye bohat dilkash samjhay jatay hain aur Saudi arab mein is shobay se wabsta ghair mulkion mein Pakistanio ki bhi bohat barri tadaad hai. Saudi hakkaam ke bayanaat se zahir hota hai ke bil akhir is shobay se sab ghair mulkiyo nikaal diya jaye ga lekin darin asna is baat ko bhi yakeeni banaya jaye ga ke beron malik se accounted ki bharti ko mehez un afraad taq mehdood kardiya jaye ga jin ka tajurbah kam az kam 3 saal ho.
Previous Post
Next Post

0 comments: