Thursday 29 March 2018

Saudi Arabia has become the best country for foreign investors, American investor

Saudi Arabia has become the best country for foreign investors, American investor

Saudi Arabia has become the best country for foreign investors, American investor

Riyhad. Amrici sarmayakar or marof tajir david robistan ka kehna hai ke waqt hazir mein Saudi arab ghair mulki sarmaya kaari ke liye behtareen mulk ban gaya hai. Mustaqbil qareeb mein bari tadaad mein ghair mulki sarmayacar dikhayi den gey. Amrici TV CNBC ko khusoosi interview dete hue david ne mazeed kaha ke Saudi arab mein jo tabdeelian howi hain unkay asraat wazeh ho rahay hain.


Ab wahan ki hasas market mein ghair mulki bhi aaraam se sharz khareed satke hain jabkay is se qabal yeh mumkin nahi hota tha. Meri maloomat ke mutabiq maazi mein kisi ghair mulki ko yeh haq nahi tha ke woh Saudi arab mein kisi niji company ke leading sharz khareed sakay jo ab mumkin ho chuka hai. Bairooni sarmayakari ko open karne ke baad ab Saudi arab mein Amrici hi nahi duniya bhar ke sarmayacar ayen ge aur nai mashi tabdeeli ronama ho gi jis ke musbat asraat muashray par parey gey aur mulk ki maeeshat mazeed mustahkam ho gi.

Also Read: No stay after Umrah visa ends otherwise 50 thousand riyal fine and 6 month jail

Aik sawal ke jawab mein david ne kaha ke yeh haqeeqat hai ke duniya ke kisi bhi mulk mein tabdeeli aik raat mein nahi askati is ke liye kuch waqt darkaar hota hai. Jab hum ne Amrici qawaneen mein tabdeeli ka socha tha to is par amal daramad karne mein kaafi waqt laga tha. Is haqeeqat ko mad-e-nazar rakhtay hue halaat ka tajzia karna chahiye kyunkay tabdeeli ke liye waqt intahi ahem hota hai. Saudi arab bhi duniya ke deegar mumalik se mukhtalif nahi wahan bhi honay wali tabdeeli ke musbet asraat muashray par muratab hunge.

Wali ehad mumlikat shehzada Mohammad ban Salman ki hikmat-e-amli se mumlikat ghair mulki sarmayakaro ka liye intahi purkashish mumlikat ban jaye gi jahan maghribi aur asiai sarmayakar bari tadaad mein pohnchain ge. David ka kehna tha ke batoor sarmayakar hamari hamesha se yeh koshish rehti hai ke kisi bhi mulk mein sarmayakari karne se qabal wahan ke qawaneen ka jaiza liya jaye munasib honay ki soorat mein sarmayakari ki jaye aur mein samjhta hon ke mumlikat mein honay wali haliya tabdeeli ke musbet asraat jald wahan ronama hone gey jo ghair mulki sarmayakaro ka liye baisy kashish hunge.

Saudi Arabia has become the best country for foreign investors, American investor
Source: Urdunews
Previous Post
Next Post

0 comments: