Monday 8 January 2018

Six biggest changing in saudi arabia in the year of 2018


Riyadh..... 2018 Ke douran Saudi arab mein 6 barri tabdeelian ayen gi, is unwan ke tehat cnn muni ne apni khusoosi report mein wazeh kya hai ke Saudi hakkaam vision 2030 ka mutabiq iqtisadi islahat ki policy par gamzan hain. Oil par inhisaar khatam karne ke liye koshan hain, meena katlist knsltnsi ke chairman Saam blats ne kaha hai ke Saudi arab mein kayi tabdeelian ayen gi,


Taweel arsay taq un ka silsila jari rahay ga. 6 barri tabdeelian tey ho chuki hain un mein sab se pehlay petrol ke narkhon mein izafah hai. Saudi awam ko zartalafi milna shuru hogyahe. Saudi aramco ne 1st January 2018 say tail ke narkhon mein 127 feesad izafah kar diya hai. Doosri ahem tabdeeli cinema gharon ki bahaali hai. 35 baras taq mumlikat mein cinema gharon par pabandi rahi.

March ke mahinay mein cinema ghar khulnay lagen ge. Tesri tabdeeli khawateen ki driving par aed pabandi ke khtama ki soorat mein dekhnay ko miley gi. June se khawateen gariyaan chalanay lagen gi. 4 tabdeeli ke tehat mumlikat ke barray shehron ke teen stadiums mein khawateen ko match dekhnay ke liye anay ki ijazat ki soorat mein hogi. 5 tabdeeli sayahati vision ka ajrha ha. sayah pehli martaba sayahati vision par Saudi arab ki sair kar saken ge. 6 ahem tabdeeli Saudi Aramco ki njkari hai. Saudi ohdedaron ne elaan kar rkha hai ke 2018 ka douran Aramco ke hasas farokht kiye jayen ge .
Previous Post
Next Post

0 comments: