Sunday 7 January 2018

Action against 250 companies 14 thousand complaints of value-added tax

Riyahd . Zakat o aamdani board ne value added tax zawabit ki khilaaf warzi karne wali 250 companiyon kay khilaaf karwai ki hai. Value added tax ke nifaz se le kar ab taq mutadid khalaaf Vrzion ki 14 hazaar shikayaat masool huien. Shehrion o tarikeen ne telephone ke ilawa mukhtalif zaraye se shikayaat ka indraaj karaya. Khilaaf varziyan karne wali baaz companiyon ne VAT ki mad mein asiha ki qeemat 5% feesad se zayed wusool ki hain.


Baaz idaray VAT ki raqam mnha karne ke baad sarfeen ko baqiya sakay nahi dete. VAT zawabit mein hadaayat ki gayi hai ke khridi gayi ashya par VAT ka nifaz khudkaar nizaam ke tehat hoga jis mein sakay bhi shaamil hunge. Tajir is baat ka paband hai ke baqiya raqam mein bach jaane walay sakay wapas kere.

Isi terhan baaz khilaaf vrzyon mein yeh baat note ki gayi ke dukanon mein sakun ki waafar miqdaar mojood nahi. Board ke qawaneen ke mutabiq tamam dkandaron par lazim hai ke woh cashirar ke paas munasib miqdaar mein sakay rakhen .
Previous Post
Next Post

0 comments: