Sunday 21 January 2018

Saudi Electricity Company will issue E-bills this month


Riyadh . Saudi bijli company mah rawan se E-bill jari karegi. Taba shuda bilon ka ajra khatam kardiya gaya hai. Bijli company ki taraf se jari honay walay aalamia mein kaha gaya ke Shahi farmaan par amal karte hue bijli ka bill har eewsi maah ki 28 tareekh ko jari Date howa karega. Tamam sarfeen ko bill jari honay ka SMS aur Email masool hoga. Bijli company ne kaha hai ke sarfeen apna bill company ki Website ya application ke zariye dekh satke hain.


Sarfeen ko service faraham karne walay shobay ke sarbarah engineer Sultan Almutrafi ne kaha hai ke Saudi arab ke tamam shehron, Qasbon aur Dehi ilaaqon mein internet ka istemaal aam hogaya hai. Smart phones har aik ki dustarus mein hai. Tamam shehrion sameit ghair mulki bhi new tecnology se faida utha rahay hain. Is soorat mein riwayati taba shuda bilon ka ajra fida mand nahi raha. Is ke bar aks E-bill har aik ki nah sirf dustarus mein hai balkay company ki Website aur application mein puranay bilon ka record bhi dekha ja sakta hai.

Ilawa azeen company ke toll free number par rabita karkay bhi Sarif apne bill ke baray mein maloomat haasil kar saktay hain. Unhon ne kaha ke guzashta arsay mein company taba shuda bilon ke sath E-bill bhi jari karti rahi hai. Neez sarfeen ko yeh option bhi diya jata hai ke inhen taba shuda bill arsaal karte raha karen ya woh E-bill ko pasand karte hain. Sarfeen ki barri tadaad ne E-bill ko ziyada pasand kya.
Previous Post
Next Post

0 comments: