Is silsilay mein Iqama ki Expaire ki Date ka aitbaar nahi hota, Jawazat ki janib se twitter par jawab
Jaddah ( Arsalan hashmi ) Mehakma passport and immigration ( Jawazat ) ka kehna hai ke final Exit (Kharooj nahai ) par janey walon ko Iqama ki Expaire tareekh se qata nazar 2 month ki mohlat di jati hai. Muddat ke douran safar nahi karne par aik hazaar riyal Jumraman ho ga. Jawazat ki janib se twitter par pouchye gaye sawal ka jawab dete hue mazeed kaha gaya ke Qanoon ke mutabiq Kharooj nahai ki muddat 2 month hoti hai.
Muddat khatam honay se qabal safar karna laazmi hai. Safar ka iradah multawi honay ki surat mein Kharooj mansookh karwaya jaye basuraty deegar pehli baar khilaaf warzi par aik hazaar riyal jurmana kiya jata hai. Yahi khilaaf warzi dohranay par jrmane ki Raqam 2 hazaar aur teesri baar 3 hazaar hoti hai jo tarkin muqarara muddat ke douran safar ka iradah multawi karna chahain to un par lazim hai ke woh fori tor par final Exit visa cancel karwaen takay jurmana se bacha jasakay. Wazeh rahay Exit Reentire visay ( Kharooj o Odah ) ke liye bhi yahi shart laago hoti hai. Muqarara muddat ke douran safar nahi karne par usay mansookh karwana laazmi hota hai basorat deegar hazaar riyal jurmana ada karna parta hai.
0 comments: