Saturday 6 January 2018

Internet sim packages sales expensive fines on companies, Communication Boards


DAMMAM . Mawaslati board ke tarjuman adil abbu hamid ne wazeh kya hai ke internet package sim mehngi karnay wali companiyon par jrmane hunge. Mawaslati board ne internet sim ke narkh 50% taq badhaane wali companiyon ke khilaaf fori tehqiqaat shuru kar di. Board ke Laiha amal ke mutabiq qaiday zaabtay ki khilaaf warzi par jrmane muqarrar hain. Sarfeen ne companiyon kay khilaaf shikayaat darj karai hain.


Abbu Hamid ne al watan akhbar se guftagu karte hue kaha ke baaz sarfeen ka kehna hai ke aisa lagta hai ke internet service faraham karne wali companiyon ne aapas mein gath joor karliya hai aur fi al-waqt jo package jari kiye jarahay hain woh aapsi saaz baz ka hissa lagtay hain. Abbu Hamid ne wada kya ke tehqiqaat mukammal honay par tafseelaat aur qarardadon par mushtamil vzahti bayan jari kya jaayegaa.

Unhon ne yeh bhi bataya ke internet service par ajarah daari ghair pesha warana tasrfat, internet service mein garbar qanoon ki nazar mein khilaaf varziyan hain. Un par kam se kam aur intahi sazayen muqarrar hain. har company muqarara zawabit ke mutabiq service faraham karne ki paband hai .

Previous Post
Next Post

0 comments: