Wednesday, 24 January 2018

Latest Jobs In Saudi Arabia


Latest Jobs In Saudi Arabia.
Saudi Arabia one of Famous company AL AFRAS required manpower for his company.
Quick visa or Quick departure. Required manpower are following post.
Sentral AC Technician.
Plumber Technician.
Telecommunication Technician.
Plumber.
Civil Technician.
Pump Mechanic.
Swimming Pool Technician.
Mechanical Technician.


BMS Technician.
Moter Wending.
Car Painter.
Electrical Technician.
Electrical Engineer.
CIVIL Engineer.
Sift Engineer.
AC Engineer.
Labour.
Truck Driver.etc etc etc etc etc and much more.

Those Peoples have good experience in this fields below Apply now. Test Interview started now on 26 January 2018 in front of delegation in RAWALPINDI.


Tuesday, 23 January 2018

Internet package reduction?


Dammam . STC or mobily ney internet ke baaz package bahaal kardiye. Information technology and communication board ne tamam mawaslati companiyon ko is amar ka paband banaya tha ke woh internet package mein islahat layein. Mazkoorah dono companiyon ki janib se jari kardah bayanaat se pata chala hai ke dono ne 100GB Giga Bite ka package 100 riyal mein kardiya hai jabkay 3 mah wala 300GB Giga Bite walay package mein islaah ko nazar andaaz kardiya. 50% izafah kardiya gaya tha.


STC ne is hawalay se tawajjow dilae ke aindah 3 mah walay 300GB Giga bite package ke narkh 500 riyal ke bajaye 400 riyal hunge. Izafay se qabal mazkoorah package 330 riyal mein muhayya tha. Uska matlab yeh hai ke STC ne is package mein islaah ke naam par ab bhi dandi maari hai. Mobily ne is package ko nazar andaaz kardiya. Mobily maazi mein yeh package 300 riyal mein jari kar rahi thi.

Uski qeemat barha kar 450 riyal kar di gayi thi. Mobily ka kehna hai ke jo log 100 Giga Bite wala package 100 riyal mein khareed rahay hain 3 mah taq is mein tosee kra sakey gey.

Get your E-BILLs with 5 ways. Saudi Electricity Company


Riyadh. Saudi bijli company naay wazeh kya hai ke is month ki 28 tareekh se E-bill 5 tareeqon se haasil kya jasakay ga. Sarfeen har Eeyswi mahinay ki 28 tareekh ko bijli ka bill daftar ka chakkar katay baghair ghar baithy haasil kar saken ge. Company ki Website, smart mobile, SMS, ALKHARABA se raabtey aur bijli application se. sa.com.sa aur Email ke zariye bill liya jasakay ga.


Company naay aik baar phir takeed ki hai ke 28 January 2018 say tamam sarfeen ko E-bill hi muhayya hoga, kisi ko bhi print bill nahi miley ga. Is se sarfeen aur company dono ko aasani hogi. Company ka kehna hai ke takneeki reporton se pata chala hai ke 30 laakh se ziyada sarfeen naay 2017 ALKHARABA application apne mobile par download karli hai jabkay 55 laakh se ziyada sarfeen SMS ke zariye bill wusool karne lagey hain.

Tamam sarfeen ko yeh mauqa muhayya hoga ke woh smart service ke zariye bijli ke bill ki maloomat haasil karlen. Mushtarqa number 920001100 par rabita karkay ya khud ko SMS ki muft service mein shaamil karkay ya social media ke apne account ke zariye bhi bill ley saken gey.

Sunday, 21 January 2018

Manpower required in Saudi Arabia


The manpower required in Saudi Arabia.

Saudi Arabia based company required manpower for his company. Test INTERVIEW started on 23 and 24 January 2018 Lahore and Rawalpindi.
Position list.
Water network engineer
Mechanical/Electrical engineer


AC Engineer
Agriculture Engineer
Shift Engineer
Civil Engineer
Plumber
Telecommunication Technician
TRUCK Driver
Labour. etc. etc etc etc etc....

Those People's have a good experience in this fields apply now.

Source: Express news

Saudi Electricity Company will issue E-bills this month


Riyadh . Saudi bijli company mah rawan se E-bill jari karegi. Taba shuda bilon ka ajra khatam kardiya gaya hai. Bijli company ki taraf se jari honay walay aalamia mein kaha gaya ke Shahi farmaan par amal karte hue bijli ka bill har eewsi maah ki 28 tareekh ko jari Date howa karega. Tamam sarfeen ko bill jari honay ka SMS aur Email masool hoga. Bijli company ne kaha hai ke sarfeen apna bill company ki Website ya application ke zariye dekh satke hain.


Sarfeen ko service faraham karne walay shobay ke sarbarah engineer Sultan Almutrafi ne kaha hai ke Saudi arab ke tamam shehron, Qasbon aur Dehi ilaaqon mein internet ka istemaal aam hogaya hai. Smart phones har aik ki dustarus mein hai. Tamam shehrion sameit ghair mulki bhi new tecnology se faida utha rahay hain. Is soorat mein riwayati taba shuda bilon ka ajra fida mand nahi raha. Is ke bar aks E-bill har aik ki nah sirf dustarus mein hai balkay company ki Website aur application mein puranay bilon ka record bhi dekha ja sakta hai.

Ilawa azeen company ke toll free number par rabita karkay bhi Sarif apne bill ke baray mein maloomat haasil kar saktay hain. Unhon ne kaha ke guzashta arsay mein company taba shuda bilon ke sath E-bill bhi jari karti rahi hai. Neez sarfeen ko yeh option bhi diya jata hai ke inhen taba shuda bill arsaal karte raha karen ya woh E-bill ko pasand karte hain. Sarfeen ki barri tadaad ne E-bill ko ziyada pasand kya.

Saturday, 20 January 2018

Do you Know about your IQAMA - Expect Jobs

Do you know about your IQAMA.

Iqama or Muqeem Card for residential identity issue in Saudi Arabia. Iqama issue for 5 years but renewals every year though online.


Iqama or Muqeem card is very important in Saudi Arabia for now days everybody knows rules are change in KSA so all expatriates keep your iqama with you and also KNOWS about your IQAMA.


Friday, 19 January 2018

Manpower required in Qatar


Urgently required manpower in Qatar.
Qatar based company need manpower for his company. Charge head, electrical fiter, instrument technician, Electrician, TEST INTERVIEW started now.

Other benefits as per Qatar Labour law. Those People's have a good experience in this field APPLY NOW.

Source: Express news

Sunday, 14 January 2018

Police and traffic department demanding recruit lady


Dammam . Rukan shoora major general abdallh Sadoon aur dosray rukan shoora Faisal Alfazal ny wazeh kya hai ke mehakma traffic aur police mein khawateen ki taqarruri samaji zaroorat hai. Khawateen ko driving ki ijazat diye jaaney ke baad traffic adaltow ma bhi khawateen ki taenati laazmi hogayi hai.


Traffic qawaid ki khilaaf warzi par hirasat mein li jaaney wali khawateen se khawateen ahelkaar hi durust tareeqay se nimat saken gi. Unhon ny kaha ke aindah marhalay mein khawateen ko police aur national guards waghera mein barray pemanay par tainaat kya jaega .

Tuesday, 9 January 2018

Character certificate is mandatory to get a UAE working visa


Dubai ( daily Pakistan online ) Mutahidda arab amarat mein mulazmat haasil ke liye visa darkhwast ke sath achay chaal chalan ka certificate dikhnana laazmi hoga aur yeh certificate passport ke sath laazmi qarar diya jaye ga. Tamam mumalik ke sath sath yeh shart Pakistanio par bhi aed ho gi aur rozgaar ke liye UAE jaane ke khwahshmndon ko hukoomat se character certificate haasil karna laazmi ho ga.

Akhbar khaleej times ke mutabiq mutahidda arab amarat ki aala sathi committee ne faisla kya hai ke 4 feb 2018 say UAE mein mulazmat haasil karne walay afraad ke liye visa darkhwast ke waqt apna character Certificate bhi dena hoga. Yeh certificate is mulk ki janib se jari kya jaye ga jis mein darkhwast guzaar guzashta 5 saalo sey rahaish Pazeer hoga. Is certificate ki tasdeeq hukoomat aur mutahidda arab amarat ki wizarat kharja se bhi laazmi hogi. Yeh certificate mulazmeen ke liye hoga, aisay afraad jo UAE mein visit visay par ayen ge un ke liye achay chaal chalan ki tasdeeq laazmi nahi hogi aur aisay afraad is pabandi se mustasna hon ge.
Mutahidda arab amarat hukoomat ki qaim kardah khusoosi committee mein mukhtalif sarkari idaron ke afsaraan shaamil hain, committee ahlkaran ke mutabiq pramn, dairpa aur mustahkam muashray ke qiyam ke liye aisay iqdamaat karna intahi zurori they. Emirate hukoomat ka azm hai ke UAE ko duniya ke mehfooz tareen mumalik mein se aik mulk banaya jaye.

Do you know your Smartphone Tablet can be hijacked?


Do you know your Smartphone / Tablet can be hijacked when you charge them using Free Public Chargers at Airports, Hotels, Public Transports and other locations?
When you connect your Smartphone or Tablet to Public Chargers using standard USB based Cables, both Power and Data connectivity can be established between the Charger and your Phone/Tab.  Using this, a malicious Charger can


a)  Copy all the Files from your Phone/Tab
b)  Copy all your Personal Photos and Videos
c)  Copy any Passwords that you have stored on the Phone/Tab
d)  Copy all Official and Personal E-Mails stored in the Phone/Tab
e)  Copy Google and other Cloud sites Authentication keys, which can be used by Hackers to access your Data in Google Docs / Google Mail or other Cloud sites
f)   Inject malicious codes into your Phone/Tab

Although latest Android and IOS Phones have some protection features for Data connectivity, Bugs within these applications or misconfigurations can bypass these protections.
We recommend users not to use Public Chargers.

a)  Never use Public USB Charging outlets for recharging
b)  Carry your Phone/Tab chargers with you. Recharge Your Phones/Tabs directly from Electrical Outlets at these locations using your own Charger.
c)  Do not use USB ports in Cars to charge your phone/tab. Use the Electrical Outlet in a Car with your own Car-Charger to recharge your Phone/Tab
d)  Use your own Power Banks to recharge

We are not saying every Public Charger in Airport, Hotels, Malls, Coffee shops and other Public Areas are malicious. But you will not be able to differentiate between a normal Public Charger and a modified one. So it is better to take your precautions than lose Information, money and peace.

Monday, 8 January 2018

Six biggest changing in saudi arabia in the year of 2018


Riyadh..... 2018 Ke douran Saudi arab mein 6 barri tabdeelian ayen gi, is unwan ke tehat cnn muni ne apni khusoosi report mein wazeh kya hai ke Saudi hakkaam vision 2030 ka mutabiq iqtisadi islahat ki policy par gamzan hain. Oil par inhisaar khatam karne ke liye koshan hain, meena katlist knsltnsi ke chairman Saam blats ne kaha hai ke Saudi arab mein kayi tabdeelian ayen gi,


Taweel arsay taq un ka silsila jari rahay ga. 6 barri tabdeelian tey ho chuki hain un mein sab se pehlay petrol ke narkhon mein izafah hai. Saudi awam ko zartalafi milna shuru hogyahe. Saudi aramco ne 1st January 2018 say tail ke narkhon mein 127 feesad izafah kar diya hai. Doosri ahem tabdeeli cinema gharon ki bahaali hai. 35 baras taq mumlikat mein cinema gharon par pabandi rahi.

March ke mahinay mein cinema ghar khulnay lagen ge. Tesri tabdeeli khawateen ki driving par aed pabandi ke khtama ki soorat mein dekhnay ko miley gi. June se khawateen gariyaan chalanay lagen gi. 4 tabdeeli ke tehat mumlikat ke barray shehron ke teen stadiums mein khawateen ko match dekhnay ke liye anay ki ijazat ki soorat mein hogi. 5 tabdeeli sayahati vision ka ajrha ha. sayah pehli martaba sayahati vision par Saudi arab ki sair kar saken ge. 6 ahem tabdeeli Saudi Aramco ki njkari hai. Saudi ohdedaron ne elaan kar rkha hai ke 2018 ka douran Aramco ke hasas farokht kiye jayen ge .

Career Opportunities in CSD Pakistan


CAREER OPPORTUNITIES
Canteen Stores Department (CSD). a prestigious Chain of Retail Stores invites application for the following positions (contract basis) for stations as moted against each.


Following Positions:
1- Assistant Manager Hire Purchase Business Center
Vacancy - 01
Station - Chhor
2- CCTV Operator
Vacancy - 01
Station- Lahore
3- Junior Office / Sales & Computer Assistant
Vacancy - 02
Station- 1* Rawalpindi - 1* Chhor
4- Driver
Vacancy - 03
Station- Rawalpindi
5- Assistant Sales Man / Loader
Vacancy - 01
Station - Chhor

The Candidates fulfilling the selection criteria must apply online http://atd.csd.gov.pk/creer/jobs.php before due date i.e 10-January-2018
Source: Express News

Do not allow excuses to raise prices VAT


Abu Dhabi : Value added tax ke bahanay taajiron ko qeematon mein izafay ki ijazat nahi den gey. Qeematon mein izafah karne walay taajiron ke khilaaf sakht karwai hogi. Yeh baat Emirates ki wizarat aqtsad ke secretary baraye muashi umoor engineer Mohammad Alshaey nay kahi hai. Unhon nay kaha hai ke wizarat deegar mutaliqa idaron ke taawun se mulk geer tafteeshi muhim chalaye gi.


Tafteeshi ehalkaron ko khilaaf warzi par sakht karwai ki ijazat hogi. Mulk ke tamam shopping centers aur dukanon ka tafteeshi dora hoga. Narkhon mein hair phair karne ya value added tax ko bahana banakar qeematon mein izafah karne walay taajiron khabardaar karte hain .

Expatriate who gets a final exit they have 2 months deadline


Is silsilay mein Iqama ki Expaire ki Date ka aitbaar nahi hota, Jawazat ki janib se twitter par jawab

Jaddah ( Arsalan hashmi ) Mehakma passport and immigration ( Jawazat ) ka kehna hai ke final Exit (Kharooj nahai ) par janey walon ko Iqama ki Expaire tareekh se qata nazar 2 month ki mohlat di jati hai. Muddat ke douran safar nahi karne par aik hazaar riyal Jumraman ho ga. Jawazat ki janib se twitter par pouchye gaye sawal ka jawab dete hue mazeed kaha gaya ke Qanoon ke mutabiq Kharooj nahai ki muddat 2 month hoti hai.


Muddat khatam honay se qabal safar karna laazmi hai. Safar ka iradah multawi honay ki surat mein Kharooj mansookh karwaya jaye basuraty deegar pehli baar khilaaf warzi par aik hazaar riyal jurmana kiya jata hai. Yahi khilaaf warzi dohranay par jrmane ki Raqam 2 hazaar aur teesri baar 3 hazaar hoti hai jo tarkin muqarara muddat ke douran safar ka iradah multawi karna chahain to un par lazim hai ke woh fori tor par final Exit visa cancel karwaen takay jurmana se bacha jasakay. Wazeh rahay Exit Reentire visay ( Kharooj o Odah ) ke liye bhi yahi shart laago hoti hai. Muqarara muddat ke douran safar nahi karne par usay mansookh karwana laazmi hota hai basorat deegar hazaar riyal jurmana ada karna parta hai.

Sunday, 7 January 2018

Banks charges 5% VAT on money transfer fees


Riyadh — Money transfer charges will increase from January 1st as 5% Value Added Tax (VAT) will be levied on money transfer fees, according to the General Authority of Zakat and Tax (GAZT). The 5% VAT will be on the money transfer fee and not on the transfer amount, GAZT clarified, adding that VAT will be paid by the person sending money.


As all people known that VAT will be implemented in the Kingdom from Jan. 1 2018. No VAT on passport and driving license issuance and renewal fees. No VAT will apply on exports to countries outside the Gulf Cooperation Council, services given to non-residents of GCC countries.
Source: Saudi Gazette.

Allowance for STC Employees - KSA


Riyadh . STC ne Saudi arab ke janoobi ilaaqon mein 2018 ke ekhtataam ya fouji operation band honay tak dakhli network par kiye jaane walay tamam mukalmon par 80% fesad riayat ka alan kardiya. STC ne janoobi Saudi arab mein field mulazmeen ke liye 2 hazaar riyal allowance dainay ki khushkhabri bhi suna di.


STC ka kehna hai ke woh 2018 ke douran 10 hazaar riyal se kam thankhowa panay walon ko aik hazar riyal aur 10 hazaar se ziyada aur 15 hazaar se kam thankhowa panay walon ko 750 riyal aur 15 hazar se ziyada aur 30 hazaar riyal se kam thankhowa panay walon ko 500 riyal mehengai Allowance dey gi.

CAREER OPPORTUNITIES


CAREER OPPORTUNITIES

An application is invited from highly motivated & result oriented individuals for filling of following posts on contract basis in an educational institute, being operated by a public sector organization.


Position:

1- LECTURER (Computer Engineering).
2- LECTURER (Computer Science).
3- LAB ASSISTANT-II (Computer Lab).
4- JUNIOR ASSISTANT-II (ADMIN).

Note: Attractive salary package with the limited medical cover and pick & drop facility as per policy will be provided to the selected candidates.

HOW TO APPLY?

All interested candidates MUST APPLY ONLINE through the website which mentions below image.
The last date to apply is JANUARY 21- 2018

Source: Express-News

Action against 250 companies 14 thousand complaints of value-added tax

Riyahd . Zakat o aamdani board ne value added tax zawabit ki khilaaf warzi karne wali 250 companiyon kay khilaaf karwai ki hai. Value added tax ke nifaz se le kar ab taq mutadid khalaaf Vrzion ki 14 hazaar shikayaat masool huien. Shehrion o tarikeen ne telephone ke ilawa mukhtalif zaraye se shikayaat ka indraaj karaya. Khilaaf varziyan karne wali baaz companiyon ne VAT ki mad mein asiha ki qeemat 5% feesad se zayed wusool ki hain.


Baaz idaray VAT ki raqam mnha karne ke baad sarfeen ko baqiya sakay nahi dete. VAT zawabit mein hadaayat ki gayi hai ke khridi gayi ashya par VAT ka nifaz khudkaar nizaam ke tehat hoga jis mein sakay bhi shaamil hunge. Tajir is baat ka paband hai ke baqiya raqam mein bach jaane walay sakay wapas kere.

Isi terhan baaz khilaaf vrzyon mein yeh baat note ki gayi ke dukanon mein sakun ki waafar miqdaar mojood nahi. Board ke qawaneen ke mutabiq tamam dkandaron par lazim hai ke woh cashirar ke paas munasib miqdaar mein sakay rakhen .

Saturday, 6 January 2018

Retired citizens can get 500 riyal bonus every month - KSA


RIYADH : khadim haramin sharifin Shah Salman ban Abdul Alaziz ne Shahi farmaan jari karkay hadaayat ki hai ke public pension agency or Social insurance idaray se mahana pension lainay walay shehrion ko mehengai allowence ki mad mein mahana 500 riyal diye jayen ge.

Retired shehrion ko yeh allowence aik saal ke liye diya jaye ga .

Internet sim packages sales expensive fines on companies, Communication Boards


DAMMAM . Mawaslati board ke tarjuman adil abbu hamid ne wazeh kya hai ke internet package sim mehngi karnay wali companiyon par jrmane hunge. Mawaslati board ne internet sim ke narkh 50% taq badhaane wali companiyon ke khilaaf fori tehqiqaat shuru kar di. Board ke Laiha amal ke mutabiq qaiday zaabtay ki khilaaf warzi par jrmane muqarrar hain. Sarfeen ne companiyon kay khilaaf shikayaat darj karai hain.


Abbu Hamid ne al watan akhbar se guftagu karte hue kaha ke baaz sarfeen ka kehna hai ke aisa lagta hai ke internet service faraham karne wali companiyon ne aapas mein gath joor karliya hai aur fi al-waqt jo package jari kiye jarahay hain woh aapsi saaz baz ka hissa lagtay hain. Abbu Hamid ne wada kya ke tehqiqaat mukammal honay par tafseelaat aur qarardadon par mushtamil vzahti bayan jari kya jaayegaa.

Unhon ne yeh bhi bataya ke internet service par ajarah daari ghair pesha warana tasrfat, internet service mein garbar qanoon ki nazar mein khilaaf varziyan hain. Un par kam se kam aur intahi sazayen muqarrar hain. har company muqarara zawabit ke mutabiq service faraham karne ki paband hai .

Friday, 5 January 2018

Saudi Arabia 100% Localized All Jobs in Insurance Companies in 2018


INSURANCE COMPANIES TO LOCALIZE ALL JOBS WITH 100% SAUDIS BY FEB 2018

This year February, SAMA (Saudi Arabian Monetary Authority) made it mandatory on insurance companies to localize all jobs with Saudi citizens including vehicles insurance claim management, customer service, complaint dealings etc...


Insurance companies ko di gai deadline February 2018 ma khatam ho rahi ha. Is date sey phely companies ko 100% Saudizations karney ka bd SAMA (Saudi Arabian Monetary Authority) ko reports jama karwani ha.

Insurance companies ki wo sab jobs jo uper ma bati gai ha jasey ka.. Products SALES, Marketing, wagara wagara. Kharji sab ko insurance companies ki selling ki faroqt rokni hogi jo wo products companies or dosri agencies par daty thay.

Saudi Arabian Monetary Authority (SAMA) ney dubara sey sab insurance companies ko batna shoro kar diya ha ka wo is haftey sey sab jobs 100% Saudizations dey.

The proposal is not to take value-added taxes from private schools and health organization under discussion


RIYADH Saudi wazeer e khazana Mohammad Al Jadaln ny wazeh kya hai ke mutaliqa sarkari idaray, niji schoolon aur sahet idaron se value added tax ki vasuli jari rakhnay ya nah jari rakhnay ki tajweez par ghorokhoz kar rahay hain. jald hi is hawalay se koi faisla manzar aam par aajay ga. unhon ny Saudi channel ke Maroof maizban Khalid ko interview dete hue bataya ke wizarat shehri khidmaat sarkari idaron ke mulazmeen ki tankhwahon ke scale, chudiyon ke zawabit, bonus,


Allowance ke naye qaiday zaabtay tayyar kar rahi hai. yeh bohat bara kaam hai, tayari mein thora waqt lagey ga. Mohammad Al Jadaln ny elaan kya ke wizarat shehri khidmaat sarkari mulazmeen ke liye trghibat package ka jaiza le rahi hai. muqarara waqt par elaan hoga. unhon ny bataya ke mumlikat mein barray pemanay par islahat layi jarahi hain. un mein sarkari sector ki islahat bhi shaamil hain. sarkari mulazmeen ko shikwah hai ke woh mehnat karte hain, over time bhi dete hain. unki qader nahi ki jarahi. Wazeer khazana se salana Allowance ki bandish ke mauzo par sawal kya gaya to unhon ny uska barah e raast jawab dainay se guraiz karte hue mazkoorah umoor ka izhaar kya o ke tnkhwahin shamsi nizaam ke mutabiq hi di jayen gi. Hjri calendar ke hisaab se nahi.

Al Jadalb ny inkishaaf kya ke petrol 91 ke naye narkh haqeeqi nahi, un par 30 feesad se ziyada sabsadi di jarahi hai. 80 feesad shehri petrol 91 hi istemaal kar rahay hain. unhon ny akaz akhbar se guftagu mein kaha ke Saudi hukoomat sahet idaron aur niji schoolon se 5 feesad value added tax wusool karne nah karne ke imkaan ka jaiza le rahi hai. ilawa azeen aisay shehrion ka maamla bhi zair ghhor hai jo pehli baar makaan kharidne ke khawahish mand hon. is hawalay se yeh tajweez hai ke pehli baar makaan kharidne walon par anay walay 5 feesad value added tax ka boojh sarkari khazanay par dala jaye. AL jadaln ny tavajja dilae ke hisaab المواطن ke tavassut se muqami shehrion ko jo raqam di ja rahi hai woh petrol, bijli aur khanay peenay ki ashya mein izafay ke boojh se nimatnay ke liye zartalafi hai .

Thursday, 4 January 2018

Value added tax - VAT 50 percent increased by companies


Jaddah. Value added tax par amal-dar-aamad shuru honay par baaz companiyon naay ASHIYA ka narkhon mein 50% izafah kardiya. Deegar companian sarfeen par tax ka boojh daalnay ke bajaye value added tax apni janib se ada karne lagen. akatz akhbar naay uski tafseelaat dete hue wazeh kiya ke social media par yeh #hash tag chal para hai ke ”Value added tax hamaray Zemay“.


Hazaron saudion naay is #hash tag ke jawab mein taajiron ke tain achay jazbaat ka izhaar kya. Doosri janib unn taajiron se muqami shehri khafgi zahir kar rahay hain jinhon naay value added tax bhi asal narkh ka hissa banadiya gaya hai. ASHIYA ka narkhon mein 50% izafah kardiya. Field surway se pata chala hai ke jo cheez 2017 ki aakhri tareekh ko aik riyal mein farokht horahee thi ab uski qeemat daidh riyal kar di gayi hai. kaha ja raha hai ke is mein value added tax bhi shaamil hai.

Saudi Arabia increased 50% price in internet packages


Jaddah. (Muhammad Ikram Asad) Saudi Telecom Company (STC) or Mobily ney internet sim ki kimat ma 50Fisad izafa kar diya. Ya izafa 300GB wali sim par kiya gaya hia. Degar sim ki kimatow ma izafa muktalif shaklow ma kiya kya hia. MAKKAH Akhbar ney ya itlah datey howy wahzeya kiya ka STC or Mobily ney 300 or 600 GB wali sim ki farokht or tohsi ka silsala mutal kar diya tha.


Ya bat guzishta haftey record par ai thi. Maherin ney tawajow dilai thi ka dono Companya internet sim ki kimat ma izafa karney wali hia. In ka kaha such sabit howa. STC ka yaha ak maha kaliya 10GB wali sim 100 Riyal, 2 Maha ka liya 30GB wali sim 200 Riyal ma dastayab hogi. Mobily ney 3 maha kaliya 300GB wali sim 450 Riyal or 20GB wali ak maha sim ki kimat 530 Riyal kar di ha.

Wednesday, 3 January 2018

Three punishments for foreigners business in Saudi Arabia


Jaddah ( Mohammad akram Asad ) Saudi mehakma passport nay elaan kya hai ke jo ghair mulki niji kaarobar karte hue paye jayen ge, inhen jrmane, qaid aur baydakhli ki saza di jaegi. 50 hazar riyal jurmana hoga.
Qaid 6 mah tak ki hogi. aakhir mein mulk se baydakhl kardiya jaayegaa. Jawazat nay yeh intibah ”ghir qanooni tarkin se pak watan “ muhim ke zimn mein jari kya hai .

Manpower required in Saudi Arabia


Manpower required in Saudi Arabia.

Saudi Arabia one of Famous company required manpower for his ARAMCO PROJECTS.

Shattering car painter, steel fixer, MASON, Painter (Building) and Civil Engineer, Civil Forman, Surveyors ( land).

Engineer, Surveyors and Forman required degree/DIPLOMA plus 8 to 10 years experience. Accommodation, Medical and Transportation, Iqama or Salary on time as per company.
Age 22 to 40 years. Update CV with all documents, Original Passport and CNIC or other Saudi Arabia return final exit paper.

Test INTERVIEW on 16, 17, and 18 January 2018. Those people's have good experience in this field's apply now.


Security Guard job in Qatar


Security Guards required in Qatar.

Qatar based company need security guards. Salary package 1400 Qatari riyal. Age required 20 to 45 years candidates should be known English language.

Also Read: Driver cum Salesman jobs in Saudi Arabia

Education: Matriculation, F.A, B.A. English language known very well. Height 5 ft 7 inch. Duty 12 hours contract 2 years after 2 years vacation with return ticket.

Accommodation, Food, transportation as per Qatar Labour law. INTERVIEW started now. Those people's need this job APPLY NOW.

Source: Express news

Driver cum Salesman jobs in Saudi Arabia


Urgently required Driver cum Salesman jobs in Saudi Arabia.

Saudi Arabia one of Famous company شركة الواحہ ( Juice Company ) required Driver cum Salesman for his company. Quick visa and quick departure.

Also Read: Heavy duty driver required in Saudi Arabia

Salary 1400+ Food + Commission, Duty 8 hours Food, Accommodation, and Medical as per Saudi Arabia Labour law. Only Saudi Arabia driving license holder can APPLY.

Education: Matriculation, Age: 22 to 40 years.
Test INTERVIEW 7 January 2018.
Those People's have a good experience in this field and holding a saudi arabia driving licence they can APPLY NOW.

Source: Express news

Some sector of foreign will not pay any fees - Saudi Arabia


Riyadh ( online ) Saudi arab mein somwaar se ghair mulkion ke liye labour fees ka itlaq ho chuka ha. doosri janib Saudi wizarat labour wo smaji behbood ki janib se inkishaaf kya gaya hai ke 8 aisay shobay bhi mojood hain jin mein kaam karne walay ghair mulki mulazmeen labour fees se mustasna hon ge.

Al Arabia dot net ke mutabiq labour fees se mustasna afraad mein Saudi khatoon shehri ka ghair mulki shohar ya Saudi mard ki ghair mulki khatoon biwi, ghair Saudi shohar se kisi Saudi khatoon ke bachay.

Also Read: Taxes will not be on these foreigners Saudi government announced

Small industry se wabsta afraad, aisay chhootey karkhanay jin mein kaam karne walay afraad ki tadaad ziyada se ziyada paanch ho. companiyon ke agent, gharon mein kaam karne walay mulazmeen ke bharti dafatir, isi terhan khaleej taawun council ke rukan mulkon ke shehri, aisi choti san-aton ke mulazmeen jin ki tadaad no se ziyada nah ho aur is ke maalik ke paas kal waqti kaam nah ho. aisay afraad bhi labour fees ki chhuut haasil kar saken ge .

Tuesday, 2 January 2018

Taxes will not be on these foreigners Saudi government announced


Jaddah (daily Pakistan online) Saudi arab ki wizarat mehnat ny elaan kya hai ke aisay kaarobar ya ghair mulki frmz jin ke mulazmeen ki tadaad paanch se kam hogi un par izafi tax aed nahi kya jaye ga, naye hukum ka itlaq naye saal ki aamad par 1st January se hoga.

Saudi wizarat mehnat ny twitter par masool honay walay salawon ke jawab mein kaha ke woh frmz jin ke paas 9 ya is se zayed ghair mulki mulazmeen hon ge usay paanch logon ko chore kar baqi logon ka izafi tax ada karna hoga jabkay firm ke maalik ko idaray ke mustaqil mulazmeen mein shumaar kya jaye ga .
wizarat mehnat ki janib se yeh bhi wazeh kya gaya hai ke woh mumalik jin ke mehnat kshon ko malik badri se istashna haasil hai inhen bhi is tax mein chhuut hogi. malik badri se istashna walo ma asey Falasteeni shehri jin ke paas misar ki safri dastawizaat hon, barmi, Tarkistan aur balouch shaamil hain .

Also Read: NEW IQAMA FEE LIST IN SAUDI ARABIA - 2018

Ilawa azeen aisay ghair mulki afraad jo Saudi arab ko afraadi qowat faraham karne wali frmz ke mulazim hain inhen bhi izafi tax se istashna haasil hoga. gulf ko operation council (GCC) mein shaamil mumalik ke shehrion, Saudi shehrion ki bigmat aur Saudi khawateen ke ghair Saudi bachay bhi tax chhuut se istifada haasil kar saken ge .

Wizarat mehnat ki janib se kaha gaya hai ke aisi companian jin ke mulazmeen mein se nisf Saudi shehri hon ge un ko ghair mulki mulazmeen ke aiwaz har mahinay 300 rial fees ada karna hogi jabkay woh companian jin ke mulazmeen mein se aksariyat ghair mulki shehrion par mushtamil hogi inhen har mahinay fi mulazim 400 rial tax ada karna hoga. yeh fees 2019 mein barh kar bal tarteeb 500 aur 600 rial hojaye gi jabkay 2020 mein yeh tax 700 aur 800 rial hojaye ga .

Monday, 1 January 2018

End of Service Benefits - EOSB in Saudi Arabia


End of service benefits in Saudi Arabia

Agr ap Company chor datey ha 2 saal kam karney ka bad ya us sey b ziada, to ap "End of service benefits" laney ka haq dar ha. Or wo worker's jo 2 saal sey be kam saal kaam karty ha wo "End of service benefits" ka haq dar nai.

The value of “End of service benefits” differs depending on whether you are resigning from the job or you are terminated by the employer.

End of service benefits in Saudi labour law for the resignation of employee:




Agr employee resigned kar data ha 2 saal ki apni service sey phely, to wo End of service benefits ka haq dar nai ha.

Age employee apni 2 saal services ka bad resigned karta ha ya 5 saal sey phely is surat ma wo haq dar ha 1/3rd End of service benefits ka or us ko salary ma sey hadi salary miley gi.

Age employee apni 5 saal services ka bad resigned karta ha ya 10 saal sey phely is surat ma wo haq dar ha 2/3rd End of service benefits award ka or us employee ko salary ma sey puri salary miley gi.

Age employee resigned karta ha ya employee ko terminate kiya jata ha apni 10 saal services ka bad ya us sey be ziada to is surat ma wo haq dar ha full End of service benefits award ka or us employee ko salary puri miley gi.

 “End of service benefits” in Saudi labour law for termination of the contract of employee:


Age company ma sey employee ko terminate kar diya jata ha us ki 5 saal ki service sey phely. To is surat ma wo haq dar ha hadi salary ka.

Age company ma sey employee ko terminate kar diya jata ha us ki 5 saal ki service ka bad. To is surat ma phely 5 saal emp ki puri salary or 5 saal sey agey jitney b saal wo raha us company ma us ki puri salary calculate ki jaye gi.

For women employees:

If a women employee resigns the job within 6 months of her marriage, then she is eligible to get full rewards of “End of service benefits”.

If a women employee resigns the job after 6 months of giving birth to child, then she is eligible to get full rewards of “End of service benefits”

Heavy duty driver required in Saudi Arabia


Heavy duty driver required in Saudi Arabia.

Saudi Arabia based good company need workers. Quick visa and quick departure less expensive. Saudi Arabia needs HTV DRIVER and LABOR.

Attractive Salary for this job less expensive quick visa for departure. Those people's have good experience in this field APPLY NOW. Those people's have gulf visa before they have more chances for this job.

Position. HTV DRIVER and LABOR for Cable.

The company providing accommodation, medical and transportation as per Saudi Arabia LABOR law. The interview started now apply now.

GCC return APPLY NOW

Self Selection

Source: Express-New

New Fuel Price in Saudi Arabia


New Fuel Price in Saudi Arabia

Saudi Arabia increased fuel price effective from 1st JANUARY 2018.

Now Saudi government increased fuel price. Petrol 91 fuel before his cost 75 halalas per litre will now be increased at 1.37/SR per litre and 95 Petrol which cost before 90 halalas per litre will now be increased at 2.04/SR per litre.
Diesel for industries and utilities will cost 0.378/SR

The price of diesel for transport remains unchanged at 0.47/SR kerosene price also remains unaffected at 0.64/sr

The effective price includes Value Added Tax (VAT).