Monday 9 April 2018

Report SMS sent by the hackers to the police, Telecommunications

Report SMS sent by the hackers to the police, Telecommunications

Report SMS sent by the hackers to the police, Telecommunications

Riyadh. Information and Telecommunication ka kehna hai ke whatsapp par ya telephone SMS ke zariye masool honay walay jaali Message par tavajja nah di jaye. Jalsazon ke pegham masool honay par uski ittila qareebi Police Station ko karen. Telecommunication ky apney Twitter Account par logon ko khabar daar karte hue kaha hai ke logon ko is qisam ke MESSAGE masool ho rahay hain jin mein kaha jata hai ke yeh pegham whatsapp ki janib se hai darjazail link par login karkay maloomat faraham karen.


Yeh MESSAGE hackers ki janib se beje jatay hain. Ghair Maroof link ko qatee tor par nah khoola jaye is terhan ke paighamaat hackar arsal karte hain. link open karne ke baad hackers tak apkee tamam maloomat poanch jati hain jis ke baad aap ka mobile unkay control mein hota hai. Aisay ghair mamooli hacking ke paighamaat jo cyber crime ke zamray mein atay hain ke hawalay se telecommunication ka kehna hai ke unkay baray mein ittila faraham karne ke 4 tareeqay idaray ne faraham kiye hain jin mein qareebi police station ke cyber crime unit ko ittla den."kolonna amn app" ( hum sab aman ke Muhafiz ) ki application ka istemaal karkay.

Also Read: 500,000 Saudi riyal fine on privacy violation, Saudi Arab launched kolonna amn app

Absher ke khusoosi page ke ilawa wizarat dakhla ki makhsoos EMAIL par jiska address info.cybercrime@moisp.gov.sa hai par EMAIL arsaal ki ja sakti hai jis mein pegham ki tafseelaat darj hon. Wazeh rahay un dinon hackers ki janib se ghair mamooli paighamaat logon ko masool ho rahay hain jin mein kaha jata hai ke whatsapp ya deegar social media ki site ney update launch ki hai. Pegham ke sath aik link bhi bheja jata hai jaisay hi is link ko click karte hain apki tamam maloomat aur mobile ki privacy ko HACK kar liya jata hai. Is hawalay se telecommunication ke zaraye ka kehna hai ke is qisam ke link ko qatai tor par open nah kya jaye balkay unki ittila mazkoorah baala idaron ko faraham ki jaye taakay hackers ke khilaaf karwai ki jasakay.

Source: Urdunews
Previous Post
Next Post

0 comments: