Sunday, 8 April 2018

In Saudi Arabia Share any thing on Social Media before you must read this law


In Saudi Arabia Share any thing on Social Media before you must read this law

Saudi arab ke qawaneen ke mutabiq cyber crime ki sazayen wazeh hain. is hawalay se mutaliqa dafaa mein likha hai ke computer, laptop ya tablet ke ilawa smart phone ke zariye cyber crime ki saza 10 saal qaid aur 5 million riyal jurmana hai. Muashray ki salamti aur ikhlaq aama ki hifazat ke ilawa riyasat ke aman o istehkaam aur iqtisad ki hifazat ke liye qanoon mein intehai sakht Sazaow ki wazahat mojood hai. Wasail itelaat ka istemaal karte hue kisi shakhs ko jismani, nafsiati ya maliyati tor par nuqsaan pahunchana bhi cyber crime mein shaamil hai. Kisi shakhs ki majboori se najaaiz tor par faida uthana ya usay kisi aisay kaam par majaboor karna jo woh karna nahi chahta, yeh sab isi zimn mein atay hain. Riyasat ke muashi nizaam kye tahaffuz kaliye qanoon wazeh hai ke ghair qanooni tor par kisi ke bank Account ya uskay visa card ko Hacked karna ya najaiz tor par kisi shakhs ya idaray ke khatay se raqam muntaqil karna bhi isi zimn mein aata hai.


Cyber crime ka qanoon is qader wasee hai ke is ki mukammal tafseelaat muashray ke tamam tabqaat ko maloom honi chahiye. Internet ke zariye khareed o farokht ka rivaaj barhta ja raha hai. Cyber crime ny logon ke haqooq ke tahaffuz ke liye daf-aat shaamil ki hain. mukhtalif ashiya ki khareed o farokht mein dhoka dahi ya logon ko apni masnoaat ke baray mein aisi cheeze batana jo haqeeqat mein nahi, cyber crime mein shumaar hai. Isi terhan kisi ke computer ko Hack karna, is ki zaati maloomat taq rasai haasil karna ya social media zaraye mein uskay Account ko moattal karna qanoon ki nazar mein jurm hai.

ALSO READ: Illegally accessing or Spying on Spouse's phone now punishable by law

Cyber crime qanoon mein aadaab aama aur ikhlaqi eqdaar ke hawalay se bhi zabton ka taqarrur kya gaya hai. uskay mutabiq deen ke Shaer ya muqaddas maqamat ya hastyon ki tazheek karna ya mann gharat hawalon ki tashheer karna bhi qabil muwakhza amal hai. muashray ke ikhlaqi eqdaar ke khilaaf tasaveer ya mawaad share karne par saza hosakti hai. muashra jin aadaab aama ki pabandi kar raha hai uskay khilaaf amal karna bhi jurm ho sakta hai. Internet ke zariye mamnooa ashiya ki khareed o farokht bhi qabil saza jurm hai.

Cyber crime qanoon mein reyasti qawaneen aur faislon se mutaliq ghalat maloomat faraham karna, afwaah phelana aur hakkaam ki tazheek karna qanoon ki nazar mein jurm hai .
whatsapp, Twitter ya Facebook par riyasat ke qawaneen ke hawalay se jo mawaad masool ho raha hai, agar woh khilaaf waqea hai aur usay share kya jaye to is par bhi muwakhza ho sakta hai. jungi kefiyat mein mulk ki ahem maloomat dushman taq pohanchanay ka zareya banana bhi aisa amal hai jis par saza hosakti hai.

Uski misaal guzashta dinon Riyahd par Dagey jaaney walay missile hamlay bhi hain. social media sarfeen ny khilaaf qanoon amal karte hue girnay walay missile ke tukron ki tasaveer social media par share kee. Is se dushman ko andaza hoga ke inka dagha jaaney wala missile kis maqam taq pouncha hai. log aisi tasaveer aur maloomat ke ilawa Video's share karte hain jin ki sngini ka inhen andaza nahi hota. Cyber crime mein un tamam cheezon ki wazahat mojood hai.
Source: urdunews
Previous Post
Next Post

0 comments: