Monday 9 April 2018

Private car has not been allowed to run as a taxi in KSA

Private car has not been allowed to run as a taxi in KSA

Private car has not been allowed to run as a taxi in KSA

Riyadh.... Public Transport Authority ney kaha hai ke niji gaari ko bator TAXI chalanay ki ijazat nahi di. Ijazat naame ke baghair niji gaari ko taxi ke tor par chalana mehakma traffic ke qawaneen ki khilaaf warzi hai. Authority ke tarjuman Abdullah Almatry ney kaha hai ke Saudi kabeena ney guzashta dinon traffic qawaneen ki shiq number 20 mein tarmeem ki hai jis se yeh mafhuum liya gaya ke niji gariyon ko taxi ke tor par chalaya ja sakta hai jo tarmeem ki gayi hai is ki wazahat yeh hai ke niji gariyon ko ijazat naame ke baad application taxi service mein shaamil kiya ja sakta hai.


Niji gariyon ke Saudi malkaan aamdani mein izafay ke liye application taxi service faraham karne wali companion ke sath munsalik ho satke hain. Traffic qawaneen ki shiq number 20 mein yahi tarmeem kabeena ney Manzoor ki hai.

Source: urdunews
Previous Post
Next Post

0 comments: