Tuesday, 19 December 2017

New traffic rules for taxi drivers in Saudi Arabia


NEW TRAFFIC VIOLATION PENALTIES FOR TAXI DRIVERS IN KSA

Saudi traffic police ny un taxi driveron par jrmane aed karne shuru kar diye hain taxi driving ke qawaneen ki khilaaf warzi karte hain public tansport authority ke inspector baker hooseri  ny arab news se baat karte huve bataya ke unhon ny taxi driveron par sakhti shuru kar di hai jo un qawaneen ki khilaaf warzi karte hain jo taxi driver aur is mein bethnay wali sawari ki hifazat ke liye bnae gaye hain.


Taxi mein sawari ke liye lagaye gaye meter ke nah honay par 5000 rial jurmana kya jaye ga aisay taxi driver ko 500 rial jurmana kya jaye ga jis ny taxi driveron ke liye mukhtas kya gaya uniform nahi pehna ho ga is taxi driver par 500 rial jurmana ho ga jis ki taxi bahar se ya andar se gandi ho gi.


Taxi ke oopar lagaye gaye board Riaz taxi ya jaddah taxi agar sahi terhan dikhayi nah day rahay hon to usay 1000 rial jurmana kya jaye ga aisay taxi driveron ko bhi 1000 rial jurmana kya jaye ga jo apni taxi ki front set par taxi company ki mukammal information card nahi rakhay ga 800 rial jurmana hoga agar taxi ki back set par company information card nahi rakhay ga 500 rial jurmana kya jaye ga is taxi driver par jo apni taxi mein aag bajanay wala slndr nahi rakhay ga.
Previous Post
Next Post

0 comments: