Monday 30 July 2018

6 Months Imprisonment And 50 Thousand Riyals Fines For Traveling On Illegal Pilgrims

6 Months Imprisonment And 50 Thousand Riyals Fines For Traveling On Illegal Pilgrims

6 Months Imprisonment And 50 Thousand Riyals Fines For Traveling On Illegal Pilgrims

Riyadh..Saudi mehakma passport ney wazeh kya hai ke baghair ijazat naame ke safar hajj karne walay aazmeen ko tansport ki sahoolat faraham karne par qaid aur jrmane ki saza di jaegi. 6 month taq qaid aur 50 hazaar riyal taq ka jurmana aed kya ja sakta hai. Aik se ziyada Azim hajj ko tansport ki sahoolat dainay par jurmana barhta chala jayega.


Agar ghairqanooni tareeqay se Azim hajj ko tansport ki sahoolat faraham karne wala ghair mulki hoga to usay qaid ki muddat poori karne par mumlikat se beydakhal bhi kardiya jayega. har haal mein muqami akhbar mein tashheer bhi hogi uska kharch bhi khalaf-warzi karne walay se wasul kiya jayega. Pehli baar khalaf-warzi par 15 din qaid, 10 hazaar riyal jurmana, Dosri baar pakrae janey par 2 month qaid aur 25 hazaar riyal jurmana aur 3 bar giraftari par 6 month qaid aur 50 hazaar riyal ka jurmana hoga.
Previous Post
Next Post

0 comments: